Showing posts with label Shayari. Show all posts
Showing posts with label Shayari. Show all posts

Shayari

Mujhse Rooth Jaata Hai Wo Ye Keh Kar Ki,
Tera Manana Mujhe Pyar Seekhata Hai,

Main Kahti Hun Use Aye Nadan Haseen,
Tere Rooth Jaane Me Hi To Mujhe Pyar Nazar Aata Hai,





Tere Kareeb Ho Beshaq Teri Saanse Tera Husn,
Par Teri Aankho Me Mujhe Bas Mera Hi Aks Nazar Aata Hai,

Kehta Hai Tu Khud Ko Ki Tu Sunder Hai Is Jahan Me Sabse Zyada,
Par Ye Husn Mujhe Dekh Kar Hi To Nikhar Pata Hai

Shayari

Sari Neenden Ura Kar Chala Gya
MujhSe Hi MujhKo Chura Kar Chala Gaya
Mohabbat Ki Intaha Kuch Is Tarha Ki usne
Apni Khushbo Mere Jism Me Chupa Kar Chala Gaya



Ek Pal Ko Hansany Aya Tha.
Har Pal ke Liye Rula Kar Chala Gaya
Keh Kar Gya Tha Main Abhi Lout Aoun Ga
Kitny Pyar Se Mujhe Behla Kar Chala Gaya.

Shayari

Unko Ye Shikayat Hai Main Bewafayi Pe Nahi Likhta,
Aur Main Sochta Hoon Ki Main Unki Ruswayi Pe Nahi Likhta,
Khud Apne Se Jyada Bura Zamane Mein Kaun Hai?
Main Isliye Auron Ki Burayi Pe Nahi Likhta,

Kuch To Aadat Se Majboor Hai Aur
Kuch Fitraton Ki Pasand Hai,
Zakham Kitne Bhi Gehre Ho Main Unki Dahayi Pe Nahi Likhta,

Duniya Ka Kya Hai Har Haal Mein Ilzaam Lagati Hai,
Warna Kya Baat Ki Main Kuch Apni Safayi Pe Nahi Likhta,
Shaan-E-Amiri Pe Karoon Kuch Araj Par Ek Rukawat Hai,
Mere Usool Main Gunaho Pe Nahi Likhta,



Uski Takat Ka Nasha Mantra Aur Kalme Mein Barabar Hai,
Mere Doston Main Majhab Ki Ladayi Pe Nahi Likhta,
Samandar Ko Parakhne Ka Nazariya Hi Alag HaiYaaro,
Mijaj Pe Likhta Hoon Main Unki Gahrayi Pe Nahi Likhta,

Paraye Dard Ko Main Gazalo Min Mahsoos Karta Hoon,
Ye Sach Hai Main Shazar Se Fal Ki Judayi Pe Nahi Likhta,
Tajurba Meri Mohabbat Ka Na Likhne Ki Wajah Bas Ye,
Ki Shayar Ishq Mein Khud Apni Tabahi Pe Nahi Likhta

Shayari

Kuch Rishte Anjane Me Ban Jate Hai,
Pehle Dil Se Fir Zindgi Se Jud Jate Hai..
Kehte Hai Us Daur Ko Dosti,
Jisme Anjane Na Jane Kab Apne Ban Jate hai..



Hum apne aap per gurur nahi karte,
Kisi ko kuch bhi karne per majboor nahi karte..
Magar jisne ek bar apna kah diya hame,
Marte dum tak use dil se door nahi karte.

SHAYARI

Ek ajnabi se mujhe itna pyaar kyon hai,
Inkar karne par chahat ka ikraar kyon hai,

Use pana nahi meri taqdeer mein shayad,
Phir har mod pe usi ka intezar kyon hai...



Love Poetry


Saamne Tu Ho To Kidhar Dekhun,
Tu Hi Mehsoos Ho Jidhar Dekhun,

Jane Kiyoon Tujh Se Jee Nahi Bharta,
Jis Qadar Chahun Jis Qadar Dekhun,

Tu Hi Kafi Hai Umar Bhar Kay Liye,
Aur Tujh Saa Na Umar Bhar Dekhun,

Jheel Jaisi Hain Woh Kanwal Aankehn,
In Mein Ek Roz Doob Kar Dekhun,

Ek Hi Shakhs Hai Bohut,
Kiyoon Koi Aur Humsafar Dekhun....





Love Poetry "Suno Tum Lout Aao Na"


Woh Dekho Chand Nikla Hai
Sitaren Jagmagai Hain

Hamari Muntazir Ankhen
Duain Maangti Ankhen

Tumhe Hi Soochti Ankhen
Tumhe Wapas Bulati Hain

Suno Tum Lout Aao Na
Suno Tum Lout Aao Na

Yeh Dil Jab Bhi Dharakta Hai
Tumhara Naam Leta Hai

Yeh Ansoo Jab Bhi Behte Hain
Tumhare Dukh Main Behte Hain

Ke Jab Barish Bhi Hoti Hai
Tumhe Hi Yaad Karti Hai

Khushi Koi Jo Aaye Bhi
Tumhare Bin Adhuri Hai

Suno Tum Lout Aao Na
Suno Tum Lout Aao Na.....





Love Poetry


Maine Puchha Kaise Ho,
Badle Ho Ya Waise Ho,
Roop Wahi, Andaaz Wahi,
Ya Phir Is Mein Koi Kami,

Hijr Ka Kuch Ehsaas Hoga,
Koi Tumhare Paas To Hoga,
Main Bichhda Ye Majboori Thi,
Kab Manzoor Mujhe Doori Thi,

Sath Hamara Kab Chhuta Hai,
Rooh Ka Rishta Kab Toota Hai,
Aankh Se Jo Aansu Behte Hai,
Tumko Khabar Hai Kya Kehte Hai,

Maine Kaha Aawaz Tumhari
Aaj Bhi Hai Humraaz Hamari,
Phool Wafa Ke Khil Jayenge,
Ek Din Phir Hum Mil Jayenge.....





Zindagi poetry


Mili hai zindagi to bejaan se na raho
Jo zinda ho to pashemaan se na raho

Waqt ki fitrat mein hai badalna
Har tabdeeli pe hairaan se na raho

Chand ghadiyon ke mehmaan hain gham aur khushi
Mehmaan ke aane par budgumaan se na raho

Jab puchche koi kya hai tumhari marzi
Aise mauke par bezubaan se na raho

Aaj ki jeeti jaagti tasveer ban kar jiyo
Guzre zamaane ki dastaan se na raho.....





Rishta Poetry


Ye kaun sa aisa rishta hai
Ye kaun sa aisa bandhan hai
Jis dori se mai bandh ke
Khinch huyee chali aati hoon
Ye kaun sa aisa rishta hai

Aankhe hardam tarasti hain
Jhalak teri ek pane ko
Khoye khoye se rehte hain
Jab tujhse na mil pate hain
Ye kaun sa aisa rishta hai

Preet ke sapne sajte hain
Lab kehne ko machalte hain
Pyar ko ab hi jana hai
Piya ko jab se pehchana hai
Ye kaun sa aisa rishta hai.....





Sad Poetry


Wo Mujhe Chahta Nahi,
Aarzu-E-Wafaa Kaise Karun?

Wo Kisi Aur Ki Muhabbat Hai,
Do DiLon Ko Juda Kaise Karun?

Ishq To Naam Hai Qurbani Ka,
Ishq Me Main Daga Kaise Karun?

Usko Pana Zindagi Hai Meri,
Per Zindagi Ko Khafa Kaise Karun?.....





Love Poetry


Mujh Say Tu Bar Bar Yun Mohabbat Ka Izhaar Na Kar
Na Nibhaa Sakoon Ga Tera Saath Aaitbaar Na Kar

Mohabbat Tou Hoti Hai Pehli Nazar Me
Kon Hai Kahan Hai Woh.. Yeh Takraar Na Kar

Main Raha-E-Mohabbat Ka Hui Barsoon Say Musafir
Wapsi Ka Nahin Hai Raasta Mera Intizaar Na Kar

Bhala Pehli Mohabbat Ko Bhi Kis Nay Bhulaya Hai
Sach Hai Na Yeh Baat Meri Tu Inkaar Na Kar

Kisi Ke Naam Hai Yeh Mukhtasir Si Zindagi
Meri "Aye Dost" Meri Sochon Main Na Tu Ho Shamil Mujhay Beqarar Na Kar.....





Love Poetry "Use apna kehna accha lagta hai"


Mujhe ab nind ki
Talaash Nahii....
Raaton tak jaagna acha
Lagta hai....
Mujhe nahii malum ke
Woh meri kismat mein hain ya nahii...
Magar Khuda se Use
Mangna accha lagta hai...
Pata nahin mujhe haq hain
Yaa nahii,
Par uski parvah karna acha lagta hain..
Use pyar karna sahi hain
Ya nahi,
Per iss ehsas mein jeena
Acha lagta hain
Kabhi hum sath hoge yaa nahii
Par yeh khwaab dekhna
Acha lagta hain
Wo mera hain yaa nahii,
Per use apna kehna
Achaa lagta hain....





Love Poetry


Abhi bhi waqt hai tum laut jao,
Mujhe tum se Mohabbat ho chali hai,

Bazaahir ek sukoon taari hai magar,
Dil main Qayamat ho chali hai,

Tumhary Naam se Phoolon ka khilna,
Tumhara roz ka yun milna,

Tumhary Chand se chehray ko dekhna,
Meri aankhon ki aadat ho chali hai,

Abhi bhi waqt hai tum Laut jao,
Mujhe tum se Mohabbat ho chali hai.....





Love poetry


Mana Ke Kuch Dilo Mein Nafrat Hoti Hai
Par Har Dil Mein Koi Hasrat Hoti Hai

Insan Us Ke Aage Hi Jukta Hai
Jis Se Use Be Panah Muhabbat Hoti Hai.....





Love Poetry


Tujhe Paane Ki Iss Liye Zidd Nahi Karte
Ke Tujhe Khone Ko Dil Nahi Karta

Tu Milta Hai Toh Iss Liye Nazrein Nahi Uthaate
Ke Phir Nazrein Hatane Ko Dil Nahi Karta

Dil Ki Baat Iss Liye Tujhse Nahi Karte
Ke Apna Dil Dukhane Ko Dil Nahi Karta

Khwabon Mein Iss Liye Tujhko Nahi Sajaate
Ke Phir Neend Se Jagne Ko Dil Nahi karta.....





Laot ao na Poetry


Sunoo…!!!
Laot ao na…
Chalo hum maan laite hain…
Hamare beghair bhi reh laite hain
Hamare beghair bhi sans le laite hain
Chalo hum maan laite hain…
Hum se bichar kar bhi…
Mosamon ki rawani nahin badali
Pholon ki nazakat nahin badali
Zamin ki gardish nahin badali
Chalo hum maan laite hain…
Wo ghaltiyan…
Wo kotahiyan…
Wo gille…
Wo sabhi shikwe…
Chalo hum maan laite hain…
Abb to laot ao…
Sunoo…!!!
Abb to laot ao…..





Love Poetry


Wo poochti hai, main usse itna pyaar kyun karta hun?
Maine kaha, ek tamanna hai tumhe paane ki..

Wo Kehti hai har waqt udas kyu rehte ho?
Maine kaha, koshish hai tumhe har Khushi dilane ki.....

Wo Kehti hai Har waqt sochte kyu rehte ho?
Maine Kaha, aadat ho gayi hai tumhe khayalo mein apna banane ki..

Wo kehti hai mai na mili toh ?
Maine kaha, toh tamannaa hai ye zindgi mitane ki..

Wo Kehti hai tumhe kya milega mar kar?
Maine Kaha ek ummed,
Agley janam me tumhe apna banane ki.....





Love Poetry


~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~

Agar Be-gharz Ho Jazba

Agar Manzil baney Rasta

Agar Chahat ke Pardey Main

Koi Lalach Na Ho Lipta

Agar Tum Sonp Do Sab Kuch

Silay Main Kuch Na Maango

Agar Sauda Na Ho Koi

Mohabbat Bas Mohabbat Ho

Tou Phir Ye Sukh Hi Deti Hai

Kabhi Dukh Nahi Deti

~ Mohabbat Dukh Nahi Deti ~





Love Poetry


Kuch Umar Ki Pehli Manzil Thi,

Kuch Raaste The Anjaan Bahut,

Kuch Hum Bhi Pagal The Lekin,

Kuch Wo Bhi The Nadan Bahut,......

Kuch Us ne Bhi Na Samjhaya,

Ye Pyaar Nahi Aasaan Bahut,

Aakhir Hum ne Bhi Khael Liya,

Jis Khael Mein The Nuqsaan Bahut.....





Real Time Analytics