Shayari

Shayari

Unko Ye Shikayat Hai Main Bewafayi Pe Nahi Likhta,
Aur Main Sochta Hoon Ki Main Unki Ruswayi Pe Nahi Likhta,
Khud Apne Se Jyada Bura Zamane Mein Kaun Hai?
Main Isliye Auron Ki Burayi Pe Nahi Likhta,

Kuch To Aadat Se Majboor Hai Aur
Kuch Fitraton Ki Pasand Hai,
Zakham Kitne Bhi Gehre Ho Main Unki Dahayi Pe Nahi Likhta,

Duniya Ka Kya Hai Har Haal Mein Ilzaam Lagati Hai,
Warna Kya Baat Ki Main Kuch Apni Safayi Pe Nahi Likhta,
Shaan-E-Amiri Pe Karoon Kuch Araj Par Ek Rukawat Hai,
Mere Usool Main Gunaho Pe Nahi Likhta,



Uski Takat Ka Nasha Mantra Aur Kalme Mein Barabar Hai,
Mere Doston Main Majhab Ki Ladayi Pe Nahi Likhta,
Samandar Ko Parakhne Ka Nazariya Hi Alag HaiYaaro,
Mijaj Pe Likhta Hoon Main Unki Gahrayi Pe Nahi Likhta,

Paraye Dard Ko Main Gazalo Min Mahsoos Karta Hoon,
Ye Sach Hai Main Shazar Se Fal Ki Judayi Pe Nahi Likhta,
Tajurba Meri Mohabbat Ka Na Likhne Ki Wajah Bas Ye,
Ki Shayar Ishq Mein Khud Apni Tabahi Pe Nahi Likhta
Real Time Analytics