Showing posts with label Kabhi kitabon mein phool rakhna Kabhi darakhton pe naam likhna. Show all posts
Showing posts with label Kabhi kitabon mein phool rakhna Kabhi darakhton pe naam likhna. Show all posts

Ghazal "Kabhi kitabon mein phool rakhna "

Kabhi kitabon mein phool rakhna  Kabhi darakhton pe naam likhna 

Hamein bhi hai yaad aaj tak woh
Nazar se harf-e-salaam likhna

Woh chaand chehare woh bahakti baatein
Sulagate din the mahakati raatein

Woh chhote-chhote se kagazon par
Mohabbaton ke payaam likhna

Gulaab chehron se dil lagana
Woh chupake chupake nazar milana

Woh aarazoon ke khwab bunana
Woh kissaa-e-naatamaam likhna


Mere nagar ki hasin fazaao
Kahin jo unke nishaan paao

Toh poochna yeh kaha base ho
Kaha hai unka qayaam likhna

Ga_ii ruton mein hamara
Bas ek hi toh yeh mashagala tha

Kisi ke chehare ko subah kehna
Kisi ki zulfon ko shaam likhna.

Real Time Analytics