Ghazal "Kabhi kitabon mein phool rakhna "

Ghazal "Kabhi kitabon mein phool rakhna "

Kabhi kitabon mein phool rakhna  Kabhi darakhton pe naam likhna 

Hamein bhi hai yaad aaj tak woh
Nazar se harf-e-salaam likhna

Woh chaand chehare woh bahakti baatein
Sulagate din the mahakati raatein

Woh chhote-chhote se kagazon par
Mohabbaton ke payaam likhna

Gulaab chehron se dil lagana
Woh chupake chupake nazar milana

Woh aarazoon ke khwab bunana
Woh kissaa-e-naatamaam likhna


Mere nagar ki hasin fazaao
Kahin jo unke nishaan paao

Toh poochna yeh kaha base ho
Kaha hai unka qayaam likhna

Ga_ii ruton mein hamara
Bas ek hi toh yeh mashagala tha

Kisi ke chehare ko subah kehna
Kisi ki zulfon ko shaam likhna.

Real Time Analytics