Showing posts with label Poetry. Show all posts
Showing posts with label Poetry. Show all posts

Poetry

Meri hasrat ek aese Gulab ki hai,
jiski tehni mein kante hi kante hai,

jab bhi hath badha kar use chhune jati hu
ek na ek kanta mujhe chubh jata hai,


jab tak main us kante ke dard se ubharti hu,
wo gulab apni khubsurati se mujhe phir lubhata hai,

haule se apni pankhudiyo se chhukar,
merre dard ko thodi raahat pahuchata hai,

main uske ehsas mein kuch waqt kho jati hu,
per hawa sang beheta mera nasib mujhe sach ka aaina dikhata hai,


uski hifazat ke liye bane kante meri raah rok lete hai,
sach bhi tou hai kanto ke bina gulab adhura nazar aata hai,

us gulab ki khushbu mujhe chhuti har fiza se aati hai,
jo siwae mere har mehfil ki raunak badhata hai.

Poetry

Main ronay se darti hoon,
juda hone se darti hoon
Meri ankhain batati hain ki
main sonay se darti hoon

Meri ungli pakar kar le aana
mujhe tanha nahi karna
Yeh duniya ek mela hai
tumhain khone say darti hoon

Jab hansti hoon to kyun palkon ke
goshay bheeg jate hain
Tumhain maloom hain main
iss tarha ronay say darti hoon

Jab say khuwab dekha hai
tum mujhe chor jao gaye
Main ab khuwabon say darti hoon.

Real Time Analytics