Aashiqui 2
Yeh zindagi chal to rahi thi,
Par tere aane se maine jeena suru kiya,
Aur ab taqdir yahi hai,
Ke tere har ek khawab ko pura karu,
Tujhe zindagi doon.
Ishkq in Paris
Jab Dil kisi ke liye Rota Hai Na To Pyar Ka Pta khud ba khud chal hi jata hai..
Akaash Vani
I Am Sorry Vani, That I Never Loved Anyone As Bad As Spineless As You.
Jab Tak Hai Jaan
Teri aankhon ki namkeen mastiyaan, Teri hansi ki beparwaah gustakhiyaan, Teri zulfon ki leharaati angdaiyaan, Nahi bhoolunga main, Jab tak hai jaan, jab tak hai jaan.
Har Ishq Ka Ek Waqt Hota Hai.
Woh Humara Waqt Nahi Tha.
Iska Yeh Matlab Toh Nahi Ki Woh Ishq Nahi Tha
Rab Ne Bana Di Jodi
"Main jab bhi aap ko dekhta hoon mujhe Rab dikhta hai. Rab ke samne matha tekta hoon toh dil ko sukoon milta hai. Aap ko hanste hue dekhta hoon toh dil ko aur bhi sukoon milta hai. Toh main toh aapko Rab se bhi zyada pyar karta hoon."
Om Shanti Om
"Itni shidaat se maine tumhe paane ki koshish ki hai, ki har zarre ne mujhe tumse milane ki saazish ki hai."Kehte hain ki .....Agar kisi cheez ko dil se chaaho to puri kayanat usey tumse milane ki koshish mein lag jaati hai.
Fanaa
"Hum se bachkar jaaoge kaise.. apne dil se hame nikaaloge kaise .. hum woh khushbu hai jo saason mein baste hain .... kud ki saanson ko rok paaoge kaise."
Veer Zaara
“Mein nahi janta ke muhabbat kya hai...haan zaara k liye dil se ek dua zaror nikalti hai ki is ke aankhon mein kabhi ansoo na aye, ye hamsesha khush rahay...ab ager ye mohabbat hai to mohabbat he sahi.”
Kal Ho Naa ho
Naina kaash mein tumhe bataa sakta, mein tumhe kitna chahta hun
I love you, I love you very very much naina
mein aankhe band karta hun to tumhe dekhta hun
aankhe kholta hun to tumhe dekhna chahta hun
tum paas nahi hoti to tumhe charo taraf mehsoos karta hun
har pal har ghadi har waqt merre naina mere naina ko doondhate hain
ise pyar kaho paagalpan ya mere dil ki dhadkan
mere liye ek hi baat hai
pyar to bahut log karte hain
lekin mere jaisa pyar koi nahi kar sakta
kyonki kisi ke paas tum jo nahi ho
mein tumhe bhool nahi sakta naina
mein tumhe bhoolna hi nahi chahta
tum meri ho, mein tumhe zindagi bhar pyar karunga
marte dam tak pyar karunga aur uske baad bhi

Hum Dil de chuke sanam
Chahane aur hasil karne mein bahut fark hai…pyar sirf haasil karne ka naam nahin…pyar dene ka naam hai.”

Kabhi Khushi Kabhi Gham
Dosti keh alaava bhi kuch rishte hote hain. Kuch rishte joh hum samajhte nahin, kuch rishte jo hum samajhna nahin chahte. Kuch rishte jinka koi naam nahin hota, sirf ehsaas hota hai. Kuch rishte jinki koi deewar nahin hoti, sarhad nahin hoti. Aise rishte jo dil ke rishte hote hain, pyar ke rishte hote hain, mohabbat ke rishte hote hain.”
Toh kya hua agar hamare raste alag alag hain? Hamari manzil toh ek hai... mohabbat. Aur hamain yeh mohabbat kabool hai...kabool hai...kabool hai."

Mohabbatein
"Mohabbat bhi zindagi ki tarah hoti hai, har mod aasaan nahin hota, har mod par khushi nahin milti, par jab hum zindagi ka saath nahin chhorte, to mohabbat ka saath kyon chhorein."

Kuch Kuch Hota Hai
"Pyaar dosti hai. Agar woh meri sabse achi dost nahi ban sakti toh main usse kabhi pyaar kar hi nahi sakta. Kyunki dosti bina toh pyaar hota hi nahi."

Dil Se
Mujhe hamare beech ki yeh doori bahuot pasand hai. Agar yeh na rahe to mujhe tumhare kareeb aane ka bahana na mile.”

Dilwale Dulhania Le Jayenge
"Mujhe chahiye ek aisi ladki , jisse dekhte hi dil ki har aarzoo, saare khwaab , saare rang zinda ho jaaye, abhi aisa hua nahi, lekin ab lagta hai jaise koi andekha anjaana chehra baadalon mein se pukaar raha hain. Pata nahi ye baadal kab hattenge, aur kab woh pukaarne waali saamne aayegi."

Maine Pyar Kiya
“Ye pyar nahi hai toh aur kya hai suman…tum hansti ho to main hansta hoon,tum roti ho toh main rota hoon aur jab pyar hota hai na toh dil ko chot pahunchti hai…”

Silsila
"Mai aur meri tanhai, aksar ye baaten karte hain, tum hoti to kaisa hota, tum ye kahti, tum wo kahti, tum is baat pe hairaan hoti, tum us baat pe kitni hansti, tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota."

Aradhana
“Ek chhota sa zakhm bahut gehra daag ban sakta hai. Aur ek chhoti si mulaqat jeevan bhar ka saath ban sakti hai.”

"Jahe naseeb. Kaanton ko murjhane ka khauf nahin. Phool to murjhha jaate hain, lekin kaante daaman thhaam lete hain."