Kal raat humne unko, fir dekha tha dobara
Meri zindagi ki khushboo, mere khwabo ka sahara
Aayi thi samne wo, karke haya ka parda
jhuki thi unki nazarein, dhadka tha dil hamara
Is jahan se door dono, khoye ek doosre mein
wo kaum thi hamari, mazhab tha wo hamara
Kuch kehna hum jo chahein, to lafz jam gaye they
jo hizaab se chann raha tha, wo noor tha hamara
Bada shokh tha wo jhaunka, parda tha kheencha jisne
kaha shukriya hawa ko, diya sath jo hamara
Dheere se apni palkein, fir uthayi usne upar
wo sawaal puchti thi, kya haal hai tumhara
Main khamosh hi khada tha, na halchal koi badan mein
Is pal ko jeena chahta tha, agar na ho samna dobara
Fir kho gayi kahi wo raat ke andhero mein
aankhein thi dhoondti use, dil ro raha tha hamara
wo door ja chuki thi par aks rah gaya tha
ab is anjaan e ashq ka wo aks hai sahara.