Hindi Poetry "Bahut Pyar Karta Hun"

Hindi Poetry "Bahut Pyar Karta Hun"

Wo saamne nahin par, Deedaar karta hun…
wo aayegi nahi par intazaar karta hun
Deewaangi mein dil ko bekaraar karta hun..
Uss ladki se haan mai bahut pyaar karta hun

Kehti hain dhadkane ye meri, dil ka qaraar hai wo…
Kaise bhulaaoon usko DIL Se haan pehla pyaar hain wo…
Marke bhi kam na hoga dekho aisaa khumaar hai wo

Wo aaj bhi meri hai , Iqraaar karta hoon
wo ayegi nai par intazar karta hun..
deewangi me dil ko beqaraar karta hun…
Uss ladki se haaan MAIN…Bahut pyaar karta hun…



Real Time Analytics